djeedja lotta

Age: 124
6981 days old here
Total Posts: 98
Points: 0

Location:
Germany, Germany
ruanda hotel

for ppl with some more senses than just eyes
Posted 28 Apr 2005

Topic: Good PPL

djeedja lotta

Age: 124
6981 days old here
Total Posts: 98
Points: 0

Location:
Germany, Germany
shahrukh khan said:

yaar jo insaan namazi ho...sab ki respect ho,,,kya usko sirf aik insaan acha kahega



janab main to aap ki baat samajh raha hun, magar aap meri baat nahi samajh rahe. namaazi ho ya na ho, log uss bande ki respect karte hon ya nahi, aap kissi ko baharhaal naik hone ka certificate issue nahi kar sakte. ander ka haal to koi nahi jaanta na. ab aik khaas qissam ke namazion par to Allah ne khud bhi lanat ki hai, surat ma'un parrhiye. aap ke liye hosakta hai ke woh insan acha ho, aap usse miss karte hon, bakhshish ki dua kiya kijiye. Allah sabb ko bakhshe ameen.

wassalam
Posted 27 Apr 2005

Topic: Good PPL

djeedja lotta

Age: 124
6981 days old here
Total Posts: 98
Points: 0

Location:
Germany, Germany
kon acha hai kon bura hai, iss ka faisla to janab Allah Mian hi karega jabb kaha jaayega ke "tussi khabbe paasse ho jao" and to another group "tussi zara sajje paasse sidhee agge chale jao".

iss liye siraf yehi kaho ke jo tumhen ache lagte hain woh jaldi chale jaate hain. janab iss me to tumhari nazar ka qasoor lagta hai. jiss ko maarna hota hai usse tum acha samajhna shuroo kar dete ho to woh faut ho jata hai. sharam karo.
Posted 26 Apr 2005

djeedja lotta

Age: 124
6981 days old here
Total Posts: 98
Points: 0

Location:
Germany, Germany
SALL said:

dj
baat aap ki bhi galt nahi,, par aise to i can say one more thing par uss k baad mujhe bohot galiyan parein gi sab se



baat agar (aap ki raaye me) sahi hai to kar deni chahiye. gaaliyan to naikon ko bhi parrti rehti hain. baat aisi point par akar ruk jati hai. iss liye yeh sabit karne ke liye woh sari ahadis analyse karni hongi, jinn me darrhi ko lazim qaraar diya gya hai, unn ahadis ke rawi ko analyse karna hoga aur dekhna hoga ke hadis sahi hai, wagheira wagheira wagheira. agar aap ne kissi "aalim" ki kissi "ilm se bhari hui" kitaab me siraf itna parrha hai ke yeh farz hai to yeh ghalat hai. itni si baat to mujhe bhi maloom hai. iss liye hawala jaat paish kiye jaayen ya aqli dalayel se apna mastoor wazeh kareN, bibi ji.
Posted 26 Apr 2005

djeedja lotta

Age: 124
6981 days old here
Total Posts: 98
Points: 0

Location:
Germany, Germany
hahaha

OnlyArbab?

the best thing u could do to the mankind was ur signature. so du have done it. itni hansi aati hai iss nashayi ko dekh kar. hahha
Posted 18 Apr 2005

djeedja lotta

Age: 124
6981 days old here
Total Posts: 98
Points: 0

Location:
Germany, Germany
Posted 16 Apr 2005

djeedja lotta

Age: 124
6981 days old here
Total Posts: 98
Points: 0

Location:
Germany, Germany
siraf 1/3 for "charity"
1/3 for me
1/3 for my family

it means, 1/1 for Djeedja Lotta. and believe me, mera na iman daulna hai aur na hi kuch aur daule ga. siraf ayyashi kee jaayegi. poore muhalle ko muft me lotte, aur meetha paani bantuNga aur phir election me kharra ho kar ache ache waade karuNga, jeet kar baaqi ke saare paise bhi unn becharon se loot luNga. muaahahaha

just imagine, lotta as ur ruler. a great dictator, musharaff ist nothing!! just imagine.
Posted 16 Apr 2005

djeedja lotta

Age: 124
6981 days old here
Total Posts: 98
Points: 0

Location:
Germany, Germany
SALL said:

sunnah se matlab k aisa karna farz nahi hai,, karo ge to sawab hoga nahi to koi gunah nahi
RITE ???
but i read somewhere k mard ka darhi shave karna aisa gunah hai jo harr wakt amaal mei likha jata hai
2nd thing,,, mard ka takhne dhakna.. iss k baare mei bhi kuch aisa hi likha tha k yeh hissa jahanum ki aag mei jale ga agar dhaka jae



darrhi agar koi na bhi rakhe to usse koi gunah nahi hai, issi tarah agar koi rakh bhi le to lazmi nahi hai ke usse koi sawab milta rahega. aisi baaton par woh hadis poori utarti hai ke amaal ka daromadar niyyat par hota hai. ab kissi insan ne darrhi na rakhi ho aur usse maloom hi na ho ke yeh sunnat hai to usse koi gunah nahi diya jasakta. issi tarah kissi ne darrhi rakhi ho aur usse yeh maloom hi na ho ke darrhi rakhna sunnat hai to usse bhala kioN sawab mile? ya ho sakta hai uss ne darrhi siraf musalmanoN par impression daalne ke liye rakhi ho? phir to ulta maulwi saheb ko gunah milega jaisa ke aajkall buhat soN ko mill raha hoga.

doosri baat jo aap ne takhne ke baare me parrhi hai uss ka background kuch aur. Hazrat Muhammad (saws) ke zamanay se pehle aik grupp aisa tha ko gharoor ki nishani ke taur par apne takhnoN se neeche tak libaas rakhte the. this was a sign of their proud to other ppl. this practice ist condemned. ab aaj ke zamanay me agar djeedja lotta sardi se bachne ke liye lambi paint pehen le to bechaare ka kya qasoor?

iss topic to buhat se "maulana hazrat" ne islam ki nishani bana liya hai, darrhi ho, "gittoN" se ooper shalwar ho, haath me lotta ho, kandhe par dupatta type kappra ho, chalo ji hamm poore musalman. mubarak ho ji.
Posted 15 Apr 2005

Topic: + Sinner +

djeedja lotta

Age: 124
6981 days old here
Total Posts: 98
Points: 0

Location:
Germany, Germany
SALL said:

kya humein Khuda ki rehmat ka aur apne insaan hone ka yakeen dilane liye gunah karte rehna chaiye ??



hhaha actually not. but abhi i am a newbie, so it will take some time to understand my real opinion written behind the words. it was just a mystic sentence, nothing more.

magar agar koi normal insan bina gunah kiye reh sakta hai to mujhe zaroor dikhayega. farishte gunah nahi kar sakte. nabi bhi gunah karte hain, magar unn ko Allah ne "masoom" qarar diya hai jaisay bachon ko.
Posted 15 Apr 2005

djeedja lotta

Age: 124
6981 days old here
Total Posts: 98
Points: 0

Location:
Germany, Germany
hamm samjhe hue hain, jiss bhais me jo aaye

of course i know, who wanted to say what. but the saying was not precise enough for me. thats all.
Posted 15 Apr 2005

djeedja lotta

Age: 124
6981 days old here
Total Posts: 98
Points: 0

Location:
Germany, Germany
pyaar se mujhe log "charity" kehte hain.
Posted 15 Apr 2005

Topic: Qabil-e-Ghour

djeedja lotta

Age: 124
6981 days old here
Total Posts: 98
Points: 0

Location:
Germany, Germany
QUEEN VICTORIA said:

lota
assembly say nikaal diya gaya kya



ghalat samjhi aap. iss lotte ka painda hai abhi takk. jabb djeedja bina-painda lotta ho jayega to (moderators ki) assembly me dakhil ho jaunga jahan aap puhanch chuki haiN.
Posted 14 Apr 2005

djeedja lotta

Age: 124
6981 days old here
Total Posts: 98
Points: 0

Location:
Germany, Germany
SohniKuddi said:

well... aaj kal biwien apne mian ko control karti hain, mard garr mein rehta hai aur uss ki biwi kaam par jaati hai aur paisa woh kamati hai. matlab yeh ke aaj kall mard apni biwion ke ishaaron par chalte hain. mein to aurat ho kar yehee kehti hoon ke mard ko control mein rakhna chahiye j k



its just one side janab.

main tayyar hun iss kaam ke liye. meri biwi kaam kare, main ghar aram karta hun, jabb wapis ayegi biwi to rona dalunga, salan me namak kam rakhunga, jabb mood hua to naraz hokar apni ammi ke ghar, jabb mood hua to raat ke do baje shor macha kar usse kahunga ke mujhe ice cream la kar do, jabb mood hoga to uss ki kamai ko aik ghantte me shoping par kharch karunga aur ooper se tane marunga ke kamati kamm hai, iss ke ilawa har waqt yeh bhi kahunga ke mere liye to kabhi uss ne kuch kiya hi nahi. shak bhi karunga har waqt, kaam se do minute late hogi to aik ghanta pehle tafteesh hogi, wagheira wagheira abhi buhat lambi list hai janab.

main tayyar hun, iss experiment ke liye. ab koi itni bahadar biwi to aaye samne. ham bhi to dekheN kitna damm hai janab?
aur koi khwahish? is this independency?? come on, its a joke.
Posted 13 Apr 2005

djeedja lotta

Age: 124
6981 days old here
Total Posts: 98
Points: 0

Location:
Germany, Germany
it should be

lahori khuddd

for ppl who are fan of punjabi
Posted 11 Apr 2005

Topic: Kabhi Kabhi

djeedja lotta

Age: 124
6981 days old here
Total Posts: 98
Points: 0

Location:
Germany, Germany
mera signature parrh lo, samajh aajayegi ke dil ka sakoon kaisay milta hai.

magar tumhari/aapki halat dekh kar kehna parrta hai

"nala, ai bulbul e shaoreeda hai tera khaam abhi
apne seene me issi aur zara thaam abhi" -Iqbal-

jabb dil ki besakooni itni na ho ke ankhon se ansoo nikal parre aur rooh pighal kar naak se behne lagg jaaye to yeh konsi besakooni hui bhala?? thorra aur zor lagao yaar.
Posted 11 Apr 2005

Topic: Deep

djeedja lotta

Age: 124
6981 days old here
Total Posts: 98
Points: 0

Location:
Germany, Germany
shahrukh khan said:

when you deeply think that after qayamat there will be no life...that moment looks strange...no lifeeeee...no world...



but i dont think, that there wont be any life after qayamat.

there must be life, otherwise jannat and jahannam are making no sense, yaar.
Posted 11 Apr 2005

Topic: + Sinner +

djeedja lotta

Age: 124
6981 days old here
Total Posts: 98
Points: 0

Location:
Germany, Germany
siraf ana ko thais lagti hai. egoisms is hurt. thats all.

yeh soch kar ke ab doosra hamare baare me bura sochega, dukh to hoga na. akhir nazuk nazuk se dil hai hamare, bibi jee.

Allah ki rehmat ke baare me aik sher arz hai:

"hamm ne to jahannum ki buhat ki tadbeer
lekin teri rehmat ne gawara na kiya"


to janab, Allah ki rehmat se mayoos nahi hona chahiye. insanon ka kya hai, aaj hain, kall nahi aur aaj bol rahe hain aur kall nahi. aaj range haathon pakarr rahe hain aur kall pakrre jaarahe hain.

iss liye djeedja lotta kehta hai ke kabhi bure kaamon se muft me baaz nahi ana chahiye, jaari rakhne chahiye. its human. giro, utho, phir giro, phir utho.
Posted 11 Apr 2005

Topic: !! TABOO !!

djeedja lotta

Age: 124
6981 days old here
Total Posts: 98
Points: 0

Location:
Germany, Germany
sorry i am latecome, so i have not read all of the opinions. may be some ppl have said, what i am gonna say again. sorry for this.

my opinion:

poora ilzam aurat ko nahi diya jasakta, poora ilzam society ko bhi nahi diya jasakta. both are in my opinion guilty in this case.

forbidden karna ya na karna is another matter. pakistani insanon ko waisay bhi buhat shauk hai har baat mana karne ka. iss liye i will see the whole matter from a different perspective.

so first of all to yeh hai ke koi woman kamm hi apne shauq se yeh kaam karti hai. agar karti bhi hai to uss ke customers baharhaal mard hi hai. agar mard jo itni barri barri baaten karte hain, shareef hain to jaaten hi kion hai prostitutes ke paas. agar koi khatoon phir bhi apne shauq se yeh kaam karti hain to Allah bakhshe unn ko. medical treatment should be consulted.
lack of family-structure. less realtives. aghwa shuda khawateen. bachpan me ghar se nadaani me bhagi hui aurten. blackmailed larrkian aur najaanay kya kya wajuhaat likhi jaasakti hai yeh batane ke liye ke koi aurat prostitution kio karti hai.

doosri taraf mard hazrat ko zahir hai acha lagta hai yeh sab kuch, issi liye to dhandha chalta hai, warna shareefon ki masjad ke qareeb yeh kaam bhala kion chalay?

i personally think that, women, who do this are weak women. kamzor hoti hai aur itna dabao nahi bardasht karne wali hoti warna aakhri damm takk apne halaat ka samna karti. for example: agar aik aurat ki izzat loot kar usse prostitution ke liye majboor kiya jaaye to usse agle customer ke saath bhi kam az kamm sakhti to karni chahiye. jabb takk marr nahi jaati uss waqt takk struggle honi chahiye. magar zindagi kisse nahi pyaari hoti.

khair prostitution na kabhi khatam hui hai aur na hi honi hai. iss ke khatam karne ka aik hi hall hai.

saare mard shareef bachon ki tarah shadiyan karen aur ache aur naik bache bann jaayen. mana karna ya khwateen ko jail me daalne se aur wagheira wagheira se pichli saari history me yeh kaam khatam nahi hua ab kaisay hoajan hai? thats tha question. kamzor auraten, kamzor mard.
Posted 11 Apr 2005

djeedja lotta

Age: 124
6981 days old here
Total Posts: 98
Points: 0

Location:
Germany, Germany
SALL said:

dual faced ppl
"iss shaks se zyada past insaan aur koi nahi k jo kuch log isse samajh rahe hein woh dar-hakeekat aisa na ho"
(syed ali hajveri)



i am not agreed with this saying. agar koi insan dar haqeeqat acha ho aur log usse bura samajh rahe hon to past log honge na ke woh aik shakhs.

to topic:
only two faces?? idher to baz dafa aik insaan me hi najaanay kitne insaan ghusse baithe hote hain.
Posted 11 Apr 2005

djeedja lotta

Age: 124
6981 days old here
Total Posts: 98
Points: 0

Location:
Germany, Germany
i agree with sohniKuddi with an avatar of a sohnaKudda.

whether some marriages in the family are successful or not, whether there ist love or not, the real problem will show itself after some generations, if defect genes are transferred and condensed after some generations.
Posted 11 Apr 2005

djeedja lotta

Age: 124
6981 days old here
Total Posts: 98
Points: 0

Location:
Germany, Germany
awaara yaar,

magar iss avatar me problem kya hai?

aik ajeeb se insaan ko aik ajeeb sa doosra insaan thappar par thappar maar raha hai, bass itni si baat hai.

ab lambe baal hone se yeh to nahi na kay maarne wali larrki hi ho. woh lambe balon wala larrka bhi ho sakta hai, ye koi khussra bhi hosakta hai. iss me discrimination bhi nahi hai.
Posted 09 Apr 2005

djeedja lotta

Age: 124
6981 days old here
Total Posts: 98
Points: 0

Location:
Germany, Germany
balich ka avatar is great. aisa hai ke jabb dekhta hun buhat hansi aati hai.

idher agar kissi ko kuch change karne ki zaroorat hai to janab awaara sahib ko apne likhne ks shtyle. ya to sabb chotta likho ya sabb barra. yeh mixture kar ke doosron ki ankhen kharab karni hain kya??
Posted 09 Apr 2005

djeedja lotta

Age: 124
6981 days old here
Total Posts: 98
Points: 0

Location:
Germany, Germany
SALL said:

........kya mard k pyaar mei itni takat nahi hai k woh aik galt larki ko chang kar sake ??.......



hmmmm

aaj abhi takk ka pehla serious topic nazar se guzra hai.

pehle to main yeh kehna chahta hun ke aap aik baat bhool gayi haiN, jo ke filmon me aur reality me aik hi hoti hai. musalman (abdul). ji haan musalman hamesha indian movie me hero par qurban ho jata hai jaisay koi afroamerican hollywood ki movies me, goli kha kar aur kalima parrh kar. khair yeh to joke tha.

serious baat par: faudiya saheb ne apne farudya hone ke bawajood buhat si achi baaten ki hai, najaanay konsa fraud khela jaraha hai.

i just wanted to comment on one of ur comments, sall.
aap ne poocha ke kya mard ke pyaar me itni taqat nahi hoti ke kissi larrki ko badal sake.
yeh ajeeb si baat ki hai aap ne. mere khayal me kissi ke pyaar me koi taqat nahi hoti kuch bhi change karne ko. yeh jiss taqat ka zikar ho raha hai yeh uss insan me hoti hai jo apne aao kochange karta hai. agar koi mard khud ko kissi larrki ke liye change karta hai to yh to mard ka hausla hai, kionke uss ne taqat ka izhar kiya khud ko badal kar, larrki ne kya kiya? siraf khwahish ke mard change ho jaye?
issi tarah agar koi mard larrki e yeh chahe ke woh badal jaaye to yeh kya taqat ka izhaar hua janab? yeh to balke buzdali hui ke aik to pyaar ka izhar aur doosri taraf ajeeb ajeb si khwahishat ke aisay hojao waisay hojao wagheira wagheira. aur ab agar larrki hi khud ko na badal sake to iss me bechare mard ka kya qasoor. kamzor to iss se larrki sabit hui, na ke mard. kehna ka matlab siraf itna hai ke taqat ka assal izhar woh insan kar raha hota hai, jo kud ko badal raha hota hai (mard ya aurat), na ke pyaar ka siraf khali alfaz me izhar karne wala.

ummeed hai aap samajh jayengi ya mujhe samjha paayengi.
Posted 09 Apr 2005

Topic: MeN

djeedja lotta

Age: 124
6981 days old here
Total Posts: 98
Points: 0

Location:
Germany, Germany
LiL_DollY said:

there so hard to deal with!



take advice from balich. dekho kitni assaani se siraf aik hi dealing de rahi/e haiN men ko (in her/his avatar).
Posted 09 Apr 2005

djeedja lotta

Age: 124
6981 days old here
Total Posts: 98
Points: 0

Location:
Germany, Germany
sawal ajeeb sa hai.

pehle kissi era mai agar shadi necessary thi to kioN? pehle iss sawal ka jawab do to tumhare sawal ka jawab main de dunga. itni si baat hai siraf.

jss wajah se log pehle shadi karte the, woh wajah ab bhi maujood hai aur jiss wajah se log aaj shadi nahi karna chahte, woh wajah pehle bhi maujood thi.

Posted 09 Apr 2005

Topic: Qabil-e-Ghour

djeedja lotta

Age: 124
6981 days old here
Total Posts: 98
Points: 0

Location:
Germany, Germany
SALL said:

woh cute kid ab bara ho k nihayat bhayanak cheez ban chuka hai
so hum ne usse maar maar k jb se nikal bahir kiya hai



iss baat se to zahir hota hai ke jo abhi takk JB se bahir nahi nikle ya nahi nikaale gaye woh sabb ke sabb bache haiN?
Posted 09 Apr 2005